Windows 7 Useful Tips In Hindi
Microsoft ne windows ke kai version market me utare hai jinme windows 7 sabse popular raha hai. Windows 7 sabse jyada user friendly operating system hai or use karne me bhi easy hai. Windows xp ke bas sabse jyada use kiya jane vala system windows 7 hai.
Useful Tips For Windows 7
1. Hard Drive Clean Karen
Time ke sath-sath hamare PC me unwanted files jama ho jati hai jo computer ki rafter ko slow kar deti hai. Isliye computer ke kachre ko clean karne ke liye “Disk Cleanup” tool ka use kiya jata hai. Iske liye aap Start > Accessories > System Tools > Disk Cleanup me jaye.
2. Taskbar ke App Ko Teji Se Launch Kare
Time bachane ke liye taskbar ek kafi strong tool hai. Keyboard se taskbar app ko select karne ke liye Windows Key ko dabaye rakhe or keyboard ke upri bhag me bane kisi bhi number ko dabayen.
3. Teji Se Search Kare
Yadi Explorer Windows me kuch search karna chahte hai to F3 key dabaye.
4. Dekhe Full Screen
Yadi aap kisi bahut badi list ki janch kar rahe hai to use pure screen par dekhne ke liye F11 dabaye.
5. Menu Ko Teji Se Browse Kare
Menu ko teji se browse karne ke liye Windows + R me jaye uske baad vaha Regedit type kare. Uske baad HKEY_CURRENT_USERControl PanelDesktop par jaye uske Menu Show Delay par double click kare.
6. Start Menu Se Search Kare Web
Windows professional or ultimate users web search karne ke liye Start Search Option setup kar sakte hai. Iske liye Start Search me gpedit.msc type kare. Ab aapke samne jo app open hoga usme user Configuration > Administration Template > Start Menu And Taskbar ko navigate kare.
friends aapko mera Windows 7 Useful Tips In Hindi post kaisa lga comment karke bataye jrur..
[ad_2]