Petrol Pump Kaise Khole Puri Jankari Hindi Me
Abhi kuch dino se petrol or diesel ke bhav bhi badh rahe hai. Aese me yeh bhi hamari kamar tod rahe hai. Lekin kya kabhi aapke dimaag me yeh khyal aaya hai ki aakhir yeh petrol pump vale is business se kitna earn kar lete honge? Inhe per litre kitna milta hoga? Aese kai sawal aapke man me aa rahe honge.
Petrol pump ka business bahut hi fayde ka business hai. Agar aap acchi location yaa acchi jagah par petrol pump open karte hai to aapko bahut jyada fayda hoga. Ganv me petrol pump open karne ki cost city se kam aati hai. Jaisa ki aap jaante hai yeh business bahut fayde ka souda hai, isliye iska license lena bhi thoda mushkil hai.
Aaj ki is post me hum aapko batayenge ki petrol pump open karne ke liye aapko kya-kya karna hoga or iske liye online apply kaise karte hai or isme kitni cost aati hai or isme kitna fayda aap kama sakte hai. Yeh sab janne ke liye aapko puri post ko padhna hoga.
How To Start Petrol Pump Business In Hindi
Petrol Pump Ka Business Kaise Start Kare
1.Aapki age 21 se 55 varsh ke beech honi chahiye.
2.Indian citizen hona jaruri hai.
3.10th pass hona jaruri hai.
Petrol Pump Ke Liye Jagah Ke Kya Rules Hai
Jis jagah aap petrol pump open kar rahe hai us land ka pura document aapke pas hona chahiye.
Agar aapki khud ki jameen nahi hai to aapko jameen owner se no objection certificate lena hoga, jise NOC kahte hai.
Agar aap jameen rent par le rahe hai to aapko rent agreement dikhana hoga.
Agar aap family me kisi ke naam se petrol pump open kar rahe hai to aapko affidavit or NOC banvana hoga.
How To Open Petrol Pump
Petrol pump ke liye license dene vali kampniyaa newspaper me advertisement deti rahti hai. Isi advertisement ko dekhkar aap petrol pump ke liye apply kar sakte hai. Agar aapmki jameen aas-paas kahi hai to bhi aap petrol pump ke liye apply kar sakte hai. Aap iske liye online apply bhi kar sakte hai.
Petrol pump ke liye online apply kaise kare
Jab aap newspaper me advertisement dekhte hai yaa online advertisement dekhte hai to aap petrol pump ke liye online apply kar sakte hai. Petrol pump ke liye apply karne ke liye aapko petrol pump dene vali kampniyo ki site par jana hoga.
Example ke liye aap Hindustan petroleum ki website par jakar iske liye online apply kar sakte hai. Isi tarah bharat petroleum par bhi petrol pump ke liye online apply kar sakte hai.
HINDUSTAN PETROLEUM : http://www.hpretail.in/land
BHARAT PETROLEUM : https://www.bharatpetroleum.com/images/files/BPCL-delear-selection-guidelines-brochure.pdf
Petrol Pump Open Karne Me Aane Vali Cost
Petrol pump open karne ke liye aane vali cost uski jagah par depend karta hai. Agar aap city me petrol pump open karte hai to 15-20 lakh ka kharch aata hai or agar aap village me petrol pump open karte hai to iska kharch 10-12 lakh rupyee tak aata hai. Iske alava jo company petrol pump de rahi hai uske hisaab se bhi kharch ko analysis kiya jata hai.
Petrol Pump Me Kitna Profit Ya Margin Hota Hai
Agar aap petrol Pump Open karte hai to aapko Petrol me per liter par 2.5 se 3 rupye tak ka profit hota hai or diesel me per liter par 1.80 se 2.5 rupye tak ka profit hota hai. Maan lo agar aap din me 5000 liter petrol sell karte hai to aap rojana 15000 rupye tak kama sakte hai.
Isi tarah agar aap 4000 liter diesel sell karte hai to 2 rupye ke hisaab se daily ke 4000 rupye tak kama sakte hai. City or village ka bhi depend karta hai or uske alava isme location bahut mayne rakhti hai. Agar aapka petrol pump acchi location par hai to aap aasani se bahut jyada profit kama sakte hai.
Petrol Pump Open Karne Ki Process
Jab aapka location select ho jata hai to company aapse contact karti hai or aapko second round ke liye bulati hai. Second round me face to face interview hota hai or jab company satisfy ho jati hai to aapko license de deti hai or aap apna khud ka petrol pump open kar sakte hai.
Or aakhir me …
Sabse khaas baat yeh hai ki aap farzi advertisement ke chkkr me naa fanse. Aaye din newspaper me fake advertisement aate rahte hai, isme bhole-bhale logo ko fansakar moti rakam hadap li jati hai.
Isliye jab bhi aapko koi petrol pump open karne ki baat kahta hai to sabse pahle check kare ki vo aadmi jis company ka kah raha hai vo us se related hai ya nahi. Isliye aapko us company se cotact karke sari jankari leni chahiye or aage process karna chahiye.
Jaisa ki mene aapko pahle hi bata diya hai ki petrol pump ka license aasani se nahi milta hai to aap aese kisi bhi fake call ke chkkr me naa pade. Iske liye aapko khud ko apply karna padta hai naa ki company aapko call karke aese offer deti hai.
Agar aapko petrol pump kaise khole eske bare me jankari pasand aayi ho to ise apne dosto ke sath share kare or comment box me apne vichar de taaki hum aage bhi aesei business post kar sake. Agar aapka koi sawal is post se related hai to aap comment box me hamse puch sakte hai.
Aap mere friends Ravi Kumar ji ka blog bhi jruri dekhiye me unke blog ka link de rha hu – https://www.anytechinfo.com
Enke blog par bhi aapko tech ralated bahut useful knowledge milegi.
[ad_2]